Adkhule hothon par ek baat baaki hai
Ansune kaano mein ek aawaaz baaki hai
Trishna hai ek anjaani si, puri hone ki aas baaki hai
Thaam le is waqt ko koi , yahi ...haan bas yahi fariyaad baaki hai
Beh jaaun bina pankh ke , khwaahish abhi baaaki hai
Ruk jaaun prem k chor par kahin jaakar, bas maheen si ye dehleez baaki hai
Yakeen aa jaaye sapne si hakeekar par agar,
Na koi baat baaki hai...na koi aawaaz baaki hai
No comments:
Post a Comment